Nigahon Ke Samander Ka Thikana Chahte Hain Hum
Hamey Tum Se Mohabat Hai Batana Chahte Hain Hum
Hume Achi Nahi Lagti Kisi Mosum Ki Shadabi
Tumhein Bas Apni Sanso Mein Basana Chahte Hain Hum
Hamara Ghar Tu Roshan Hai Hamarey Naam Se Lakin
Tumhare Naam Se Jivan Sajana Chahte Hain Hum
Hume Her Haal Main Tum Se Aqidat Or Mohabat Hai
Tumhare Pas Anay Ka Bahana Chahte Hain Hum
Zindagi Kis Tarha Bitao Gy Paas Jab Humain Na Paogy
Din Main Tanhaiyan Satayian Gi Rat Ko Chonk K Uth Jao Gy
Rat Bhr Nend Kyun Nahi Ati Tum Khud Bhi Samaj Na Pao Gy
Log Puchaingay Is Tanhai Ka Sabab Kya Chupao Gy Kya Batao Gy
Palkien Har Bar Bheg Jiengi Jb Kbhi Khul K Muskurao Gy
Aao Tu Bataein Tum Ko
Kya Cheez Muhabbat Hoti Hai
Insaan K Dil Par Insaan Ki
Pakeeza Hukumat Hoti Hai
Kuch Husn Mein Sajawat Hoti Hai
Kuch 'ISHQ' Mein Chahat Hoti Hai
Kuch Aankhein Ishara Karti Hain
Kuch Dil Mein Ghabrahat Hoti Hai
Bas Yun Hi Muhabbat Hoti Hai
Yon Rah E Wafa Ki Saleeb Pr
Do Qadam Uthane Ka Shukria
Bara Pur Khatr Tha Ye Rasta
Tere Laot Jane Ka Shukria
Jo Udaas Hain Tere Hijr Mein
Jinhein Bojh Lagti Hai Zindgi
Sar E Bazm Yon Unhein Dekh Kr
Tere Muskrane Ka Shukria
Teri Yad Kis Kis Bhais Mein
Mere Sher O Nagma Mein Dhal Gai
Ye Kmaal Tha Teri Yad Ka
Muje Yad Aane Ka Shukria
Jo Zamane Bhr Ka Asool Tha
Wo Asool Tu Ne Nibha Dia
Yehi Rasm Thehri Hai Motbar
Mujhe Bhool Jane Ka Shukria
Wo Nafraton K Sawal Kar K
Muhabaton Ka Jawab Mangay
K Meray Hisay Mein Kantay Likh Kar
Wo Mujh Se Taza Gulab Mangay
Ye Chahton Ki Karri Musafat
Chalay Hain Tanha Shikast Khurda
Koi Tu Mera Bhi Dard Janay
Koi To Us Se Hisab Mangay
Rootha To Shahr E Khab Ko Ghaarat B Kr Gya
Phr Muskra K Taaza Shrarat B Kr Gya
Shaed Usy Aziz The Ankhen Meri Bhot
Wo Mery Naam Apni Bsaart B Kr Gya
Dil Ka Nagar Ujaarny Wala Hunar Shanas
Tameer Hoslon Ki Amaart B Kr Gya
Sb Ehl E Shahr Jis Py Uthaaty Thay Ungliyan
Wo Shahr Bhr Ko Waja E Zyaart B Kr Gya
Ye Dil K Jis Sy Bichrta Na Tha Kbi
Aj Usko Bhoolny Ki Jsaart B Kr Gya
Usko B Hum Se Wesi Hi Mohabat Ho To Kia Baat Hai
Aik C Dono Ki Halat Ho To Kia Baat Hai
Dil Ki Chahat To Khuwab Jaga Deti Hai
Haan Magar Sath Me Kismat B Ho To Kia Baat Hai
Meri Tanhaiyan Karti Hain Jinhen Yaad
Sada Unko B Meri Zarurat Ho To Kia Baat Hai
Muskrane Se B Hota Hai Bayan Gham E Dil
Aankh Se Aansu Tapke To Kia Baat Hai
Neend To Dard K Bistar Pe B Aa Sakti Hai
Unki Aaghosh Me Sar Ho To Kia Baat Hy
Bari Tarap Hai Meri Iltaja K Parday Mein
Main Tum Ko Maang Raha Hoon Dua K Pardy Mein
Usy B Dar Hai K Ye Raaz Khull Na Jaye Kahin
Likhta Hai Naam Mera Wo Hina K Parday Mein
Main Us K Koochy Sy Guzra To Ye Mehsoos Hua
Mujhy Pukara Hai Us Ny Hawa K Pardy Mein
Ajeeb Tarz E Masihayi Us Ne Dikhlayi
Hayyat Meri Badal Di Dua K Pardy Mein
Is Tarah Chehry Ko Zulf Mein Chupaya Us Ny
K Jaise Chand Chupa Ho Ghata K Pardy Mein
Bin Dost K Zindagi Dard E Tanhai Hai
Meri Aankhon Mai Q Mout Simat Aae Hai
Kehtay Hen Log Ishq Ko Ibadat Yaro
Ibadat Mai Phr Q Itni Ruswhi Hai
Ye Ada Uski Mohabbat Ney Sikhai Hai
Us Se Taluq Hai Kuch Aisa Dil Ka
Jb B Socha Usko Aankh Bhar I Hai
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat E Mulaqat Reh Gai
Baadal To Ghar Aaey Thay Barsaat Reh Gai
Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai
Main Haar K Bhi Khush Hoon K Tum Jeet To Gaey
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai
Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi
Dil K Nagar Main Raat Thi So Raat Reh Gai
Mere Wajood Ki Jageer Usne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Usne Mangi Hai
Uski Qaid Mein Rehta Hoon Main Pehle Bhi
Najane Phir Kyon Zanjeer Usne Mangi Hai
Guman Hota Hai Wo Bhool Sakte Hai Mujhe
Kyon K Aaj Meri Tasveer Usne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Uske Nasib Me Likh De
K Mujhse Meri Taqdeer Usne Mangi Hai
Badalti Rut Ka Ishara Dekhty Hain
Ab Kaisy Hoga Guzara Dekhty Hain,
Mohabat Ki Ye Rasm Bhi Kitni Ajeeb Hai
Jany Waly Palat Kar Dubara Dekhty Hain
Dubny Waly Dubny Se Zara Pahly
Ek Umeed Par Kinara Dekhty Hain
Kiya Mohabat Humhen Bhi Raas Aay Gi
Aao Apna Apna Sitara Dekhty Hain
Zra Si Rat Dhal Jaye To Shayd Nend A Jaye
Zra Sa Dil Behal Jaye To Shayd Nend A Jaye
Abi To Krb Hy, Bechaini Hy Aur Beqrari Hy
Tabiyt Kch Smbhal Jaye To Shayd Neend A Jaye
Abi To Narm Jhokon Ma Chupe Hain Teer Yadon K
Hawa Ka Rukh Badal Jae To Shayd Neend Ajaye
Ye Hansta Muskurata Qafla Chand Or Taron Ka
Zara Age Agy Nikal Jaye To Shayd Neend Ajaye
Ye Tofan Ansuon Ka Umad Aya Ha Jo Palkon Tak
Kisi Surat Se Tal Jae To Shayd Neend Ajae
Uljhano Ka Ye Mosam Badal Bhi Sakta Tha
Wo Chahta To Merey Saath Chal Bhi Sakta Tha
Wo Shaks Jisney Mujhe Chorhney Main Jaldi Ki
Main Us K Mizaj K Sanchey Main Dhal Bhi Sakta Tha
Wo Jald Baaz Khofzada Ho K Chal Dia Warna
Tamam Maslon Ka Hal Nikal Bhi Sakta Tha
Ana Ney Haath Uthaney Nahin Diya Warna
Meri Dua Se Wo Pathar Pighal Bhi Sakta Tha
Koi Khwab Sirhane Rakh Do Na
Tum Mujh Pr Inayat Kr Do Na
Zara Chupke Se Khamoshi Se
Izhar E Muhabbat Kr Do Na
Khud Ko Kr K Dewana Sa
Mera Piyr 'Amar' Tum Kr Do Na
Main Piyas Me Doobi Sehra Hon
Tum Mujh Ko Sumandar Kr Do Na
Main Yun Hi Phirti Hon Dar Dar
Tum Khud Ko Manzil Kr Do Na
Meri Ghazal Adhoori Hai Ab Tak
Tum Us Ko Mukammal Kr Do Na
Ik Khwab Sirhane Rakh Do Na
Tum Mujh Pr Inayat Kr Do Na
Ay Sard Sard Raat Mujhay Chand Chahye
Karni Hai Dil Ki Bat Mujhy Chand Chahye
Uljhi Hoi Firaq Ki Raton K Darmeyan
Tanha Hai Meri Zat Mujhe Chand Chahye
Bachpan Ki Zid Nhe Jawani Ki Bat Hai
Ay Meri Kainat Mujhe Chand Chahye
Chehre Se Abh Niqab Ka Badal Utar Do
Ab Man Jao Baat Mujhe Chand Chahye
Dekha Hai Mene Din Mujhe Raat Chahye
Suraj Say Nahi Piyar Mujhe Chand Chahye
Main Kisi Or Ki Hon Itna Bata Kar Roi
Wo Muje Mehandi Lage Hath Dikha K Roi
Main Beqasoor Hon Qudrat Ka Faisla Hai Ye
Lipat K Mujh Se Wo Bus Itna Bata Kar Roi
Mujh Pe Ek Karb Ka Tofan Ho Gaya Ha
Jb Mere Samne Khat Mere Jala Kar Roi,
Meri Nafrat Aor Adawat Pighal Gai Pal Main
Wo Be Wafa Hai Tu Kiyun Mujh Ko Rula Kar Roi
Sab Shikway Mere Ek Pal Main Badal Gaey
Jheel Si Aankhon Main Jb Aansoo Saja Kar Roi
Wafa Ki Aas Me Hum To Sabhi Ka Sath Nibhaty Rahy
Wohi Hum Ko Sada Yad Aaye Jo Hamen Bhulaty Rahy
Dil Viran Tha Honton Par Hansi Sajate Rahy
Khush Fehmion Se Hum Apne D il Ko Behlate Rahy
Begane Ban Gaye Sabhi Jinhen Hum Apna Bnate Rahy
Sabhi Bewafa Thy Hum To Yunhi Har Kisi Ko Aazmate Rahy
Meri Zindgi Ka Tasawar Mery Hath Ki Lakiren
Enhain Kash Tum Bdaltay To Kuch Or Bat Hoti
Ye Khulay Khulay Se Gesoo Enhain Lakh Tum Sanwaro
Mery Hath Se Sanwrty To Kuch Or Baat Hoti
Main Tera Aaina Tha Main Tera Aaina Hon
Mery Samnay Sanwrty To Kuch Or Baat Hoti
Abhi Aankh He Lari Thi K Gira Dia Nazar Se
Ye Jo Silsila Barhaty To Kuch Or Baat Hoti
Hamein Apni Zindgi Ka Kuch Ghum Nhi Hai Lekin
Tery Aashiyan Pe Marty To Kuch Or Baat Hoti
Wo Khafa Hai Hum Se To Khafa Hi Rehnay Do
Hum Ko Unka Gunehgar Hi Rehnay Do
Wo Samajhtay Hai K Hum Ne Chor Diya Hai Unko
Baat To Jhooti Hai Magar Such Samajhnay Do
Muddaton Mangi Hai Khuda Se Khushiyan Unki
Jo Aata Hai Elzam Hum Pe To Ab Ye Elzam Hi Rehnay Do,
Shart Ye Hai K Me Bewafa Banoon
Khushyon Me Unki Mujhay Bewafa Hi Rehnay Do
Aae Ga Waqat Dekhayen Gay Tum Ko Apna Piyar
Abhi Hum Ko Bus Khamosh Hi Rehnay Do
Woh Mujh Say Uljha To Nahi Tha
Wo Pehlay To Aisa Nahi Tha
Bohat Alag Tha Us Ka Zarf Lekin
Wo Meri Zaat Ko Samjha Nahi Tha
Wo Jis Berukhi Say Chal Dia
Main Itna To Bura Nahi Tha
Usay Main Kiun Bura Kahoon
Wo Acha Tha Faqat Mera Nahi Tha
Laakh Pinjray Ki Shab O Roz Hifazat Kartay
Panchhi Urr Jatay Agar Hum Na Muhabbat Kartay
Qaaflay Raah Mein Qadmon K Nishaan Chhorr Gaye
Kaash Khusbhu Ki Tarah Dard B Hijrat Kartay
Wo Jo Jazbaat Ki Hurrmat Se Hi Na'Waqif Hain
Kaisey Mumkin Tha K Wo Piyaar Ki Izzat Kartay
Mill B Sakti Thi Hamein Us Ki Rafaqat Lekin
Hum Bharay Shehar Mein Kis Kis Se Adaavat Kartay
Kab Usko Intizar Mera Tha
Ye To Bus Aetibar Mera Tha
Kuch Meri Hi Khush Fehmi Thi
Shayad K Us Pr Ikhtiyar Mera Tha
Kabi Uski Na Halat Hoi Wesi
Jese Dil BEQARAR Mera Tha
Ghamon Mai Qaid Kr Gaya Mujhko
Wohi Jo Gham Gusaar Mera Tha
Main Kese Bhol Jaon Ase Shaks Ko
Jo Kbi Ek Baar Mera Tha
Sabhi Jazbat Khyalat Bdal Jaty Hain
Yun Mohabbat Mein Ye Din Raat Badal Jaty Hain
Pyar To Un Ko Bhi Hami Sy Hy Magar Jany Kyun
Ham Karain Baat To Woh Baat Badal Jaty Hain
Aarzo To Hai K Izhare Mohabat Kar Doon
Lafz Chunta Hoon To Lamhat Badal Jatey Hain
Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehley Mohabbat Se Hamain
Ho Mohabbat To Khayalat Badal Jatay Hain
Aik Sa Waqt Mohabat Main Kahan Rahta Ha
Gardish E Wqt Say Haalat Badal Jatay Hain
Is Sheher K Logo Ki Ye Aadat Purani Lagti Hy
Kisi K Jazbaton Se Khelna In Ko Nadani Lagti Hy
Jidher Dekho Ek Gham Ka Aalam Milta Hy
Har Dewaane Ki Dastan Kuch Apni Kahani Lagti Hy
Wo Kya Jane Mohabat Ek Nemat Hy Yaaro
Jinko Logon Ki Sirf Surat Hi Suhani Lagti Hy
Yaaden Bhi Hain Kuch Aise Tere Naam Se Wabasta
Har Subah Hai Jaise Har Shaam Se Wabasta
Bas Tere Tasawor Se Fursat Hi Nahi Milti
Rehti Hain Teri Yaaden Har Saans Se Wabasta
Laakhon Hain Tamanayen Per Ye Dua Hai
Bas Naam Rahe Mera Tere Naam Se Wabasta
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nhi Saktay
Chupa Saktay Hain Aur Na Hum Dikha Saktay Hain Logo Ko
Kuch Aesy Daagh Hain Dil Par Jinhen Hum Dho Bhi Nahi Saktay
Kaha Tha Chorh Dain Gy Yè Nagar Phir Ruk Geye Lekin
Tumhen Paa To Nhi Saktay Magar Kho Bhi Nhi Saktay
Kabi Zid Mein Tere Ho Gaye
Kabi Dill Ne Tuje Ganwa Diya
Isi Kashmakash Mein Rahe Sada
Tu Ne Yaad Rakha Ya Bhula Diya
Kabi Bebasi Mein Hans Diy
Kabi Hansi Ne Hum Ko Rula Diya
Kabi Phool Se Rahi Dosti
Kabi Haath Kanton Se Mila Liya
Kbi Ek Ko Apna Na Kar Sakey
Kbi Khud Ko Sab Ka Bana Diya
Yun Hi Din Guzar Gaye Piyar K
Kabi Ik Khuwab Khud Ko Bana Liya
Jo Khuwb Ubhrey In Ankhon Me
Unhen Aankh Me Hi Sula Diya
Zindagi Kis Tarha Bitao Gy Paas Jab Humain Na Pao Gay
Din Main Tanhaiyan Satayian Gi Rat Ko Chonk K Uth Jao Gay
Rat Bhr Nend Kyun Nahi Ati Tum Khud Bhi Samaj Na Pao Gay
Log Puchaingay Is Tanhai Ka Sabab Kya Chupao Gy Kya Batao Gay
Palkien Har Bar Bheg Jiengi Jb Kbhi Khul K Muskurao Gay
Baat Din Ki Nhi Muje Rat Se Darr Lagta Hai
Gher Kacha Hai Mera Muje Barsat Se Darr Lagta Hai
Usne Tohfe Me Diye Muje Kh00n K Aansu
Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Darr Lagta Hai
Chhoro Pyar Ki Baatain Koi Or Baat Kro
Ab To Pyar Ki Her Baat Se Darr Lagta Hai
Meri Khaatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hai
Apno Me Reh Kr Kuch Aisy Zakham Khaye
Ke Hamein T0 Ab Apni Zaat Se Darr Lagta Hai
Baat Din Ki Nhi Muje Rat Se Darr Lagta Hai
Gher Kacha Hai Mera Muje Barsat Se Darr Lagta Hai
Usne Tohfe Me Diye Muje Kh00n K Aansu
Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Darr Lagta Hai
Chhoro Pyar Ki Baatain Koi Or Baat Kro
Ab To Pyar Ki Her Baat Se Darr Lagta Hai
Meri Khaatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hai
Apno Me Reh Kr Kuch Aisy Zakham Khaye
Ke Hamein T0 Ab Apni Zaat Se Darr Lagta Hai
Nigahon Ke Samander Ka Thikana Chahte Hain Hum
Hamey Tum Se Mohabat Hai Batana Chahte Hain Hum
Hume Achi Nahi Lagti Kisi Mosum Ki Shadabi
Tumhein Bas Apni Sanso Mein Basana Chahte Hain Hum
Hamara Ghar Tu Roshan Hai Hamarey Naam Se Lakin
Tumhare Naam Se Jivan Sajana Chahte Hain Hum
Hume Her Haal Main Tum Se Aqidat Or Mohabat Hai
Tumhare Pas Anay Ka Bahana Chahte Hain Hum
Yon Rah E Wafa Ki Saleeb Pr
Do Qadam Uthane Ka Shukria
Bara Pur Khatr Tha Ye Rasta
Tere Laot Jane Ka Shukria
Jo Udaas Hain Tere Hijr Mein
Jinhein Bojh Lagti Hai Zindgi
Sar E Bazm Yon Unhein Dekh Kr
Tere Muskrane Ka Shukria
Teri Yad Kis Kis Bhais Mein
Mere Sher O Nagma Mein Dhal Gai
Ye Kmaal Tha Teri Yad Ka
Muje Yad Aane Ka Shukria
Jo Zamane Bhr Ka Asool Tha
Wo Asool Tu Ne Nibha Dia
Yehi Rasm Thehri Hai Motbar
Mujhe Bhool Jane Ka Shukria
No comments:
Post a Comment