Poetries
Legaye Sub Kuch Magar ek Hosla REhne Dia
Yani Meri ZinDagi ka SilSila Rehne Dia
Hum GAye the US Ko Manane K liye
WOh Khafa Ache Lage Humne Khafa Hi Rehne Dia
>>>>>>><<<<<<<
Sub Kuch Hai mere Pass Mager IS Dil Ki Dawa Nahi
Woh Mujhse Door hai Magar mai Khafa nahi
Maloom Hai Ab Bhi Pyaar Kerti Hai Woh Mujhse
Woh Thori Ziddi HAi Mager Bewafa Nahi
>>>>>>><<<<<<<
Tabir Jo Miljati To Ek Khawab Bouhat Tha
Jo Shaks Gava Bethe WOh Nayab Bouhat Tha
Main Kese Bacha LEta Kast-e-Dil Ko
Darya-e-Mohabat mai Selaab Bouhat tha
>>>>>>><<<<<<<
Need Ati Hai Mager Ab Khuwab nahi ATe
Mujhse Milne Mere Ahbab Nahi Ate
Ya Uski Mohabbat Bouhat Nayab Hai
Ya Mujhe Mohabbat K Aadaab nahi Ate
>>>>>>><<<<<<<
Tujhe Pyaar Mera Sataaye Ga
YaaDo Ka Tufaan Uthaye Ga
Mera naam likh K Kitabo May
Tu Logo K Darr Se Mitaye Ga
Ziker Mera Aksar Kerne Se Pehle
Tu Kuch SOch Ker Muskuraye Ga
BAatien Meri Yaad AaYen Gi
Jitna Unhay Tu Bhulaye Ga
Tera Dil Mujhe Dekhna Bhi Chahey
Tu NazRo Ko Phir Bhi Jhukaaye Ga
Jisney Mujhey Itna Sataya Hay
Uska Chain Bhi Koi ChuRaaye Ga
>>>>>>><<<<<<<
Aaj Phir Meri Yaadon Se Usne Gher Ko Sajaya Hoga
Meri Tasveer Ko Dewaar Per Usne Phir Lagaya Hoga
Na JAne Kitni Baar Likha Hoga Naam Mera Rait pe Usnay
Her Bar Kisi Leher Ne Aker Ussy Mitaya Hoga
A hawa Tu Jake Uske Gher se Meri Yaadien Samait le
Kya Pata Aaj Phir In Yaadon ne Usay Rulaya Hoga
>>>>>>><<<<<<<
Na Zindagi Mili Na Wafa Mili
Na Jane Kiun Har Khushi Hamse Khafa Mili
Jhuti MusKaan Liye Apne Ghum Chupate Rahe
Sachi Mohabbat KErne Ki Bhi kia Khoob Saza Mili
>>>>>>><<<<<<<
Lamha Lamha Waqt Guzar Jaye Ga
Rooh Ka Daman Jism Se Choot Jaye Ga
Abhi Waqt Hai Do lamhe Saath Guzaar lo
Kia Pata Kal Kon Kis Ki ZinDagi Se Chala Jaye Ga
>>>>>>><<<<<<<
Kero To Kis Liye AakHir Malaal Uska
Usay Nahi To Mujhe Bhi Nahi Khayal Uska
Meri Wafa Ne Banaya hai Bewafa Usko
Kisi Ada Per Nahi HAi Kamal Uska
Mere Naseeb ki Yai Bhi To Khusnasibi hai
K Mujh Ko Dekh Ke Sub Poochty hain Haal Uska
Yahi Dua kerooon Mai Baras K Pehle Din
Mere Baghair Na Guzre Koi Saal Uska
Mere Urooj ko Us k Naseeb mai Likhde
Khuda-e-Pak Mujhe Ker Zawaal Uska
>>>>>>><<<<<<<
Hamare Aanson Ponch k Wo Muskurate Hain
Isi Ada Se Woh Dil Ko Churate Hain
HAath Unka Chuu Jaye Chehre Ko
Isi Umeed Pe Hum Khud Ko Roz rulate Hain
>>>>>>><<<<<<<
Jane Kia Mujhse yai zamana chata hai
Mera dil torke mujhe Hasana chata hai
jane kia baat jhalakti hai mere chehre se
Har koi mujhko Aazmana Chata hai
>>>>>>><<<<<<<
Usne Tora Wo Taaluq Jo meri Zaat Se Tha
Us ko RAnj najane Meri kis Baat Se Tha
La taaluq raha logon ki Tarha Woh Bhi
Jo Achi Tarha Waqif Mere Halaat Se Tha
>>>>>>><<<<<<<
Mohabbat Ki Zanjeer Se Dar Lagta hai
Kuch Apni TAqdeer Se Dar Lagta Hai
Jo mujhe Juda KErti Hai Tujhse
Haath Ki Us Lakeer Se Dar Lagta hai
>>>>>>><<<<<<<
Jub kabhi zamane mai dil ghabraye to lot ana
Ager Kabhi Meri Yaad aye To lot ana
Tukhradia Tumne Hamien Aaj
Zamana tujhe tukhrade To lota ana
>>>>>>><<<<<<<
Us k Honton ki tabbasum Rahe qaim Ya Rab
Us k Jeevan Mai khusiyan Basera Kerde
Tu Meri karb ki Raaton ko Bhalay Khatalm na Ker
Per Us ki Her Shaam K Akhir Mai Sawera Kerde
Us k Dil k kisi Bhi Koney Mai Jaga de Mujhko
Uski Ankhon Ko mere Sapno Sey Ghana KErde
Ye Mere Dil Ki Dua Hai Mere Moula Sunle
Saari Duniya Se Chupa Ker Ussey Mera Kerde
>>>>>>><<<<<<<
Dil-e-umeed Tora Hai Kisi Ne
Sahara De Ker Chora hai Kisi Ne
Na Manzil mili Na manzil ka nishan
kahan Lake Chora Hai kisi Ne
>>>>>>><<<<<<<
Roothna Mat Hamain Manana nahi ata
Door Mat jana Hamain Bulana nahi Ata
Tum Bhool Jao Tumhari Merzi
Hum kia Kerien humien Bhulana nahi ata
>>>>>>><<<<<<<
YAi Aarzoon nahi K Kisi ko Sataayen Hum
Na Tamanna Ki k Kisi ko Rulaaye Hum
pur Dua hai Us Rab Se Jisko Jitna Yaad Kerte hain
Usko Utna Hi Yaad Aye Humm
>>>>>>><<<<<<<
apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho
tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho
ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
>>>>>>><<<<<<<
TUM LAAKH CHUPAO SEENEY MAIN EHSAAS HAMARI CHAHAT KA
DIL JAB BHEE TUMHARA DARHKA HAY AWAZ YAHAN TAK AAI HAi
>>>>>>><<<<<<<
Tum poocho aur main na bataoon aisay bhi halaat nahin
Ek zara sa dil toota hai aur tu koi baat nahin
>>>>>>><<<<<<<
Pochha k rooh niklti hy jism se kis tarha ?
Hath usne hathon se chuhra kr dikha dia
Pochha k akhhir ye hasad ha kia cheez ?
Usne kisi or ko apna buna kr dikha dia
>>>>>>><<<<<<<
Hoton pe hasee dekh li ,dil ke ander nahi dekha
Yaaron ne mere gam ka samander nahi dekha
Kitni haseen hai duniya ye dekha hai aapne
Mar mar ke jeene walon ka manzar nahi dekha
Sheshe ka makan tumne bana to liya ae dost
Lekin waqt ke haath ka pathar nahi dekha
Rishtoon ke tutne ka dard aap kya samjhein
Vo lamha kabhi aap ne jee kar nahi dekha
Bhatke roshni ki talaash mein na jaane kahan kahan
Afsos ki apni rooh ke ander nahi dekha
>>>>>>><<<<<<<
Meri mohabbat fanah kaun karega
sab nek banege to gunah kaun karega
aye khuda us bewafa ko salamaat rakhna
warna meri maut ki dua kaun karega
>>>>>>><<<<<<<
RIFAQATO'N KE SILSILAY NA TOOT JAYEIN KAHIN,,
KABHI KABHI MILNE KA SILSILA RAKHNA,,
MAANA KE AUR LOG BHI HAIN QAREEB TERE,
MAGAR MERI ZAAT KO AURO'N SE JUDA RAKHNA...!
>>>>>>><<<<<<<
Na ho udass wo tujh say agar nahi milta
yahaan kissi say koi umer bhar nahi milta
huwa hai shaher tabha tujh ko tu khaber hogi
bohat dino say mujhy apna ghar nahi milta
har ik more pay milty hain sainkron chery
may dhoond ta hoon jissy wo magar nahi milta
>>>>>>><<<<<<<
FAREB THI HANSI UNKI,
HUM AASHIQI SAMAJH BAITHE.
MAUT KO HI APNI ZINDAGI SAMAJH BAITHE,
WAQT KA MAZAK THA YA BADNASIBI MERI,
UNKI DO BATON KO CHAHAT SAMAJH BAITHE
>>>>>>><<<<<<<
alak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha ..!!
Idhar Mera Ghar ..!! Udhar Uska Aaashiyana Tha ..!!
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed ..!!
Usi Waqt Is TofaaN Ko Bhi YahaaN Aana Tha ..!!
>>>>>>><<<<<<<
Dil to hai bas toot jaane ke liye
Kya main hi mila use Azmane ke liye
Maine Pyaar kiya usse Waafa paane ke liye
Aur usne mujhe chhod diya Zamane ke liye
Is ka gila nahi ke usne mera dil toda
Ab kuch nahi raha mere paas aur baatane ke liye
Ab khuda hi use Sazaa dega mera dil dukhane ke liye
Bas aarzoo reh gayi usse Wafa paane ke liye
>>>>>>><<<<<<<
kissi nai dil ko toor dea hai"
"tanha ker k chor dea hai"
"shaak pai nazuk phool khila hai"
"taza hawa nai tor dea hai"
meri janib atay atay tujh ko"
"kissi nai wapis mor dea hai"
"jiss ko jitna dat k chaha"
"us ny utna dard dea hai"
chal mai bhi sochon to bhi sooch"
"kiss nai kiss ko chor dea hai
>>>>>>><<<<<<<
"teri khushi teri zindagi ki dua mango"
"mai is se ziyada tere lea kia mango"
"to mere hisse kisaari khusiya lea ja"
"mai us k badle srif teri wafa mango"
>>>>>>><<<<<<<
Manzile bhi oski thi rastha bhi os ka tha .
ek mai aekela tha kafila bhi os ka tha.
sath sath chalne ki sochbhi oski thi
phir rashtha badhalne ka fesla bhi oska tha
aaj kyun akeli hon dil saval kartha hai
log to osi k thye kia khoda bhi osihi ka tha
>>>>>>><<<<<<<
Kal Fursat Na Mili To Kia Kero Gay
Itni Muhbbat Na Mili To Kia Kero Gay
Roz Rula Dete Ho Udas Ker K
Kal Meri Ankh Na Khuli To Kia Kero Gay
>>>>>>><<<<<<<
Ek Lamha Jo Bar Bar Satata Hay
Na jane Ye Dil Kia Chhta Hay
Kaash Tm Hoty Meri Ankhon K Samne
Per Ye Kaash........kaash Hi Reh Jata hay
>>>>>>><<<<<<<
is dost ki yaad tumhe har pal sataye gi,
Tanhai k waqt dosti bohat yaad ayegi,
uss din jano gaye tum dosti ke qadar,
jiss din dost se zindagi root jayegi.....
No comments:
Post a Comment