Wednesday, January 13, 2010

Saraab e Zeest.....!


Aaj Rootha huwa ik dost...... bohot yaad aaya,
Acha guzra huwa kuch waqt.......bohot yaad aaya.

Meri aankho ke her ik ashk pe ronay wala,
Aaj jab aankh yeh roee tu....... bauhot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha,
Aaj jab dard huwa mujh ko....... bauhot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha,
Aaj kajal jo lagaya tu....... bauhot yaad aaya.

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi,
Aaj jab dil nay bulaya tu....... bauhot yaad aaya.






Guzray Huay Taweel Zamanay Kay.......Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay....... Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bauhat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay.......Baad Bhi

 
 
Patthar Ki Hai Duniya,Jazbat Nahi Smajati
Dil Mei Kya Hai Baat, Woh Baat Nahi Samajati,
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaron ke Bich,
Magar Chand ka Dard Bewafa Raat Nahi Samajti...!!
 
 
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaie Gi Afsana
Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun

Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun

/////////////////////////////////////////
Mere dil ka jenaza jah raha hai,
Kise ankh se na ansoo nikleh,
Deko mere dil ka jenaza jah raha ahi.

Katha kiya hai sab ne apne in lafzo se,
Tokereh kahi kahi mere dil ne boath,
Zakham hai itne jiskeh liye koi dua nai,
Koi pyar k idol leh kar ahe,
Jismeh mera dil khushi khushi ruksat ho jai.

Mera dil ka jenaza jah raha hai,
Kise ankh se na ansoo nikelh
Deko mere dil ka jenaza jah raha hai.

Wada sapne khawishe boath tuteh hai meri,
Dil mere ab tahkha gyah hai,
Abou aout nahi she sakta in zakhomo ko koi kabu kare,
Aina toota hai dil ne pehchana,
Aur roh kar pehggham diya,
Tumahari awaz toh sab ne sunni,
Mere be lakho tookhre hue hai,
Mujhe be deko meri be awaz suno,
Hoon meh majboor,
In duniya ki rasmo ki zanjiro se,
Eh moath ab ah jah aur mujhe azad kardeh.

Ab yeh dua karma mere dil keh liye,
Ab shaid kam ahe yeh zakham
jo merei zindagi ko itni jaldi khatam kar deh.

////////////////////////////////////////////////
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.

yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.

jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.

keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.

keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi
////////////////////////////////////////////////////
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.
badal786:
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad

////////////////////////////////////////////////
Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Ma Tu A Jao
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kut Ta
Tujay Sochay Bina Jana
Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere Saamanay A Jao,
Bus Itni Se Khawahish Hai
Nadaan Mere Dil Ki
Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,
Bachaini Si Dharkan Ma
Na Aankhon Ma Neenden Hein
Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi Waja Bata Jao
//////////////////////////////////
Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aa ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa
//////////////////////////////////////////////////////////
Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi

aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi
aag kaisi jali thi jo jalti gayee
kaisa toofan tha jo ruka na kabhi
meri khushion ne rukh badla aaj bhi

tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi
hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi
baat kehdi thi lekin rahi ankahee
milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi
mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi

pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi
aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi
ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha
humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha
kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi


badal786:
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga
//////////////////////////////////////////////////////////////
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

///////////////////////////////////////////////////////////////
Apni zulfein tujh pe jhatakkna chahti houn
Meri Her ada mein kitna piyar basaa hai dikhana chahti houn

Apni aankhoun se dhairoun ashhq baha ker
Teri ungliyoun ko gaaloun per mehsoos kerna chahti houn

Mein dil apna tourh kay
Tujhe her tukrey mein dekhna chahti houn

Apney laboun pe muskurahat la ker
Teri chahrey pe hassi dekhna chahti houn

Meri taqdeeer mein tu ho ya na ho
Tujhe apni manzil mein banana chahti houn

Khehtey hein khuda sey jo dil se maango ik din zaroor milta hai
Mein her dua mein tujhe maang ker apna pyar aazmana chahti houn

badal786:
Dil kay kisi bhi koney mein jhaank lee jiye

Her taraf apki yaad basai beythey hein

Her sheesha tour dena chahtey hein hum

Her sheeshey mein ap hi ap dekhai deytey hein

Jab bhi baarish hoti hai yahan per

Apke sung guzerey un bheegtey paloun ko yaad kertey hein

Vo jag.Aain jahan chup chup kay mila kertey thay dono

Vo rastey ab hamein sadaain deytey hein

Jahan ki thi apne iqrar-e-muhabbat hamse

Vo jagah dekh ker dil hi mein zaar zaar rotey hein

Kash kay wohi daur laut aye kabhi

Aye zindagi! tujhe waisey hi hasee.n dekhna chahtey hein!

////////////////////////////////////////////////////////////////////
Aaj mujh per yeh ajab kaifiiyat taa’ri hoi

Teri deed ki aas thi phir tujhe dekh ker kyun ruswaai hoi

beywafa tu hai mein jaanti thi hamesha se

teri beywafai per phir kyun mujhe hairaani hoi

nazrein bacha ker bhi na bach saki tujhse

meri nazarein pohanchi wahan jahan se teri aamad hoi

dil jo tuta mera mein kirchiyan na sambhaal pai

mere saamney meri dil ki khoob ruwai hoi

mujhe akailepan ki aysi aadat hoi kay

kisi kay aaney sey mere jeevan mein tanhai hoi…


badal786:
Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhanay janti hoon
Mager tairee safakiyan bhi zamanay, janti hoon

Uss k hansanay say dil ki dunya bhi mehak utthay
Aor uss k gham bhi hans ker utthanay, janti hoon

Nafrat ki aakhri had ko bhi choo sakti hoon mein
Chaho to chahat k phool mehkanay, janti hoon

Mujhey maloom hai sab,kia hai khaboon ki haqeeqat yahan
Jo kho ** hain meree aankhoon k sapnay suhanay, janti hoon

Uss ki rahoon k sab khar apni palkoon say chunoon
Uss k aanay ki khushi main phool barsanay, janti hoon

Phir say ek wada kia tha aanay ka aor tod biatha hai
Aab kia hoon ** uss pashema'n k bahanay ,janti hoon

Koi mairee nigahoon say pa na sakay meray dil ka haal
Mein dard dil k dunya say chupanay ,janti hoon

Phir sham dhal rahi hai so jaa aab tu Ghazal
Werna aa jaey gi yaad uss ki tujhay rulanay ,janti hoon
///////////////////////////////////////////////////////////////
Jis kaa koi hasil nahi aisa ek khawab dekha tha
Raat hathoon main apnay ek mahtab dekha tha

Shab bhar khushi say jagee rahi hain aankhain
Aaj pehli bar apnay liyey usay baytaab dekha tha

Aab k bahar main bhi woh zard sa dikhaee diya
Khiza'n rut main b jis chahray ko gulab dekha tha

Jo sab kuch hee baha ker saath lay gia hai maraa
Dil kay darya main aisaa aik sailaab dekha tha

Aaj yoonhi choti see maat pay roya hai dair talk
Ye dil jisay baray baray dukhoon per shadab dekha tha

Dunya poochay taray dil kee busti kia howi Ghazal
Kaha!nahi maloom,ek baar usay zair-e-aab dekha tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
www.e-referrer.com