Wednesday, April 25, 2012

Sitare Mil Nahi Saktey








~~ Sitare Mil Nahi Saktey ~

   Ajab Din Thay Mohabbat ke 
Ajab Mousam They Chahat ke 

 
Kabhi Gar Yad Aa Jayein To Palkon Par Sitary Jhilmilaty Hain 
Kisi Ki Yaad Mein Raaton Ko Aksar Jagna Mamool Tha Apna
Kabhi Gar Neend Aa Jati To Hum Yeh Soch Lete They
Abhi To Vo Hamary Wasty Roya Nahi Hoga
Abhi Soya Nahi Hoga!
Abhi Hum b Nahi Rote
Abhi Hum b Nahi Sote


So Phir Hum Jagte Aur Usko Yaad Karty They
Akaile Baith Kar Veeran Dil Abad karte They
Hamare Samney Taaron k Jhurmat Mein Akaila
Chand Hota Tha

Jo Uske Husn k Agay Bohat Hi Mand Hota Tha
Falak Par Raqs Karte An Gint Sitaron Ko
Jo Hum Tarteeb Dete Thy
To Uska Naam Banta Tha
Hum Agle Roz Jab Milte To Guzri Raat Ki Har Be Kali Ka Zikr Karte Thy
Har Ik Qissa Sunate Thy

Kahan,Kis Waqt,Kis Tarah Se Dil Dharka Batate They
Main Jab Kehta k "Jaana"Main Aj Raat Ik Pal b Nahi Soya
To Vo Khamosh Rehti Thi
Par Uski Neend Mein Doobi Do Jheel Si Aankhein
Achanak Bol Uthtii Thin
Main Jab Usko Batata Tha
k Raat Ko Roshan Sitaron Mein Tumhara Naam Dekha Hay


To Vo Kehti.....
Nahi Tum Jhoot Kehty Ho
Sitare Main Ne Dekhy They
Aur Un Roshan Sitaron Mein Tumhara Naam Likha Tha
Ajab Masoom Larki Thi
Mujhay Kehti Thi...
Mujhay Lagta Hay k Ab Apny Sitare Mil Hi Jayein Ge
Magar Usko Khabar Kya Thi
Kinare Mil Nahi Sakte...
Mohabbat Ki Kahani Mein...
Mohabbat Karne Walon ke..
Sitare Mil Nahi Saktey...!!!


ﻟﻮ ﮐﺴﯽ ﺍﻭﺭ کے ﮨﻮﺋﮯ ﮨﻢ ﺑﮭﯽ،

ﺁﺝ ﺍﺱ ﮐﺎ ﻏﺮﻭﺭ ﭨﻮﭨﮯ ﮔﺎ. .

Lo Kisi Aur Ke Howe Hum Bhi

Aaj Us Ka Gharoor Toote Ga





Wo Kehti Hai Suno Janaa’n...!

Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko

Mai Kehta Hoo’n

K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho

Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai,

Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey

K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti

Mai Kehta Hoo’n,

Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai

Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahii Aata

Wo Kehti Hai

Judai Se Boht Darta Hai Dill Mera

K Tumko Khudd Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahii Hai Abb

Mai Kehta Hoo’n

Yahi Khadshey Boht Mujhko Satatey Hain

Magar Sach Hai Mohabbat Mai Judai Sath Chalti Hai

Wo Kehti Hai

Batao Kya Merey Binn Jee Sakogay Tumm?

Meri Batain Meri Yadain, Meri Aankhain Bhula Do Gay?

Mai Kehta Hoo’n

Kabhi Iss Baat Par Socha Nahii Mainey

Agar Ikk Pall Ko Bhi Sochoo’n Tau Sansain Rukne Lagti Hain

Wo Kehti Hai

Tumhe Mujhse Mohabbat Iss Qadar Kyu’n Hai

K Mai Ikk Aam Si Larhki Tumhe Kyu’n Khas Lagti Hoo’n

Mai Kehta Hoon

Kabhi Khudko Meri Aankho’n Se Tum Daikho

Meri Deevangii Kyu’n Hai Ye Khud Hii Jaan Jaa’ogay

Wo Kehti Hai

Mujhe Waraftagee Se Daikhte Kyu’n Ho?

K Mai Khuddko Boht Hi Qeematii Mehsoos Karti Hoon

Mai Kehta Hoon

Mata E Jaa’n Boht Anmol Hoti Hai

Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon

Wo Kehti Hai

Mujhey Alfaaz K Jughnoo Nahi Miltey

Tumhe Batla Sakoo’n Dill Mai Merey Kitni Mohabbat Hai

Mai Kehta Hoon

Mohabbat To Nigaho’n Se Chhalakti Hai

Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai

Wo Kehti Hai

Batao Na Kisey Khone Se Darte Ho?

Batao Kaun Hai Wo Jisko Ye Mausam Bulate Hain?

Mai Kehta Hoon

Ye Meri Shayari Hai Aaina Dill Ka

Zara Daikho Batao Kuchh Tumhe Iss Mai Nazar Aaya

Wo Kehti Hai K

Aatif Jee Boht Batain Banatey Ho

Magar Such Hai K Ye Batain Boht Hii Shaad Rakhti Hain

Mai Kehta Hoon

Ye Sab Batain, Fasane Ikk Bahana Hain

K Pall Kuchh Zindagani K Tumharey Sath Katt Jayain

Phir Uss K Baad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai

Nagahain Bolti Hain Aur Labb Khamosh Rehte Hain


Wo Kehti Hai

Suno Jana’n Mohabbat Maum Ka Ghar Hai

Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko

Mai Kehta Hoon

K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho

Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai,

Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey

K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti

Mai Kehta Hoon,

Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai

Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahi...





Tumhara Saath Mil Jaye To Sab Dukh Bhool Jaaon Gi
 
Woh Kehti Thi K Her Soorat Tumhein Apna Banaon Gi

 
Nichawar Khwaab Ker Don Gi Tumharay Her Ishaaray Per

 
Kabhi Peepal Ki Chaaon Men Kabhi Nadya Kinaray Per

 
Tumhein Thandak Ata Ker Don Gi Ik Barsaat Ki Maanand

 
Bikhartay Chaand Jharnon Men Ujalti Raat Ki Maanand

 
Mujhay Tum Se Muhabbat He Men Logon Ko Bataon Gi

 
Woh Kehti Thi K Her Soorat Tumhein Apna Banaon Gi

 
Men Chahon Gi Tumhein Jaana Umangon Se Ujaalon Tak

 
Khudi K Dasht Se Lay Ker Naye Janmoon K Saalon Tak



 
Meri Thandi Si Tanhaai Sulagti Raat Jaisi Ho

 
Mujhay Bas Saath Lay Jaao Bhalay Baraat Jesi Ho

 
Tumharay Surkh Jooray Main Hi Dulhan Ban K Aaon Gi

 
Woh Kehti Thi K Her Soorat Tumhein Apna Banaon Gi...!

 
Mujhay Tum Se Muhabbat He Men Logon Ko Bataon Gi

 
Woh Kehti Thi K Her Soorat Tumhein Apna Banaon Gi...!





Thursday, March 8, 2012


main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le


main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le
ye agar zabt ka aanso tha tu tapka kaise…!!

Loog Loog Hote Hein


Loog Loog Hote Hein
Roshni Ki Khuwahish Main
Yahan Sadaein Laane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Loog Loog Hote Hen



Loog Loog Hote Hein


In Ko Kya Khabar Jana Ap K Eradoon Ki

Khub'suraat Ankhoon Main
Bas'ne Waloon Khuwaboon K
Rang Kaisay Hote Hein
Loog Loog Hote Hein


Dil Ki Goud Ankhoon Main Pal'ne Walay Khuwaboon K

Zakhaam Kaisay Hote Hein
Kitne Geh'ray Hote Hein
Kab Yeh Soch Sakhte Hein
Ayesee Bai'Ghu'naa Ankhen
Ghar K Konay'Khud'ray Main Laag Kar
Kitna Roote Hen
Phir B Yeh Apne Jaisay Kisi
Ghaam'Zada Dil Say Lag K Rooone Lagte Hein
Loog Loog Hote Hein


Toh'matein To Lagti Hain

Roshni Ki Khuwahish Mein

Toh'matoon K Lagne Say

Dil Say Dost Hoo Jaana
Ab Nee'Dhaal Kya Karna
Tohmatoon Say Kya Darna..!

Bhoolta Kon Hai


Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......! Waqt K Gha'oo Ko


Hijar K Tand'o'Tufan Ki Bai'yaqeen Laher Main

Wasaal K Khuwab Ki Dob'tee Naa'oo Ko
Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......!


Apne Qateel K Qateel'Kha'Doo'Khaal Ko

Dukh Utha'te Dinoon Or Maa'hoo'Saal Ko
Bhoolta Kon Hai.......!


Bhoolta Kon Hai.......!


Omeer Ki Shaak Par Kheel'nee Wali Us Aa'wale Shaam Ko

Hum Pee Bai'Sabab Jo Laga Hai''Us Elzaam Ko
Bhoolta Kon Hai.......!

Phir Tere Naam Ko

Bhoolta Kon Hai.......!

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain Dekhna


Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
Sochna
Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
“Kyun” bhi kehna jurm hy
“kese” bhi kehna jurm hy
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay

Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi


Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi
Jis tarah shaakh se toray huay aik pattay ka rang
Mand par jata hai kuch roz alag shaakh se reh kar
Shaakh se toot ker yeh dard jeeye ga kab tak…?
Khatam ho jaye gi jab is ki rasad…
Timtimaye ga zara dair ko bujhtay bujhtay…
Aur phir lambi si aik sans dhuan ki le kar…
Khatam ho jaye ga,yeh dard bhi bujh jaye ga
Dard kuch dair hi rehta hai,buhat dair nahi

meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka


meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka

bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki

char harfon se ibarat hai fasana dil ka

us ne dali hi nahin bheek nazar ke aur main

liye ankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka

saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai

dil dharakta hai tau lag jata hai dharhka dil ka

issi koshish main buhat umar ganwa di main ne

phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka

meri payaab tamanna’in batati hain mujhay

sookh jaye ga koi roz main darya dil ka

badli badli si sada deti hai dharkan dil ki

hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka

kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain

iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka

fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay

teri dunya se ziada hai asaasa dil ka

us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sum sum

khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka

ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"

aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe


Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna

log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo

tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed

phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne

kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai


Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai

Phir Faraib'bay'Roz'o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi

Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai

Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main

Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His'say'dar Hai

Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr'nay Lage

Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

Phir Hawa'ayee'Sehar Mujh SaY Mun'harif Honay Lagi

Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

Ab Kahan Cho'yee'gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni

Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!

jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa

jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa
zaraa sii pyaas to bujhaa sharaab laa sharaab laa

tere shabaab par sadaa karam rahe bahaar kaa

tujhe lage merii duaa sharaab laa sharaab laa

yahaaN koii na jii sakaa na jii sakegaa hosh maiN

mita de naam hosh kaa sharaab laa sharaab laa

tera badaa hii shukriyaa pilaaye jaa pilaaye jaa

na zikr kar hisaab kaa sharaab laa sharaab laa
.

Be-bassi


Be-bassi

meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..

chilatey huwey, yuN ba’in kertay haiN..
keh meray her taraf cheekho’n ka
wehshatnaak shorish.. phail jata hai, satata hai..
magar jab siskiyaaN letay huwey yeh lafz maiN..
kaghaz ki aghosh-e-meherbaaN meiN
chupaanay k liye, tarteeb deti hoon..
achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain,
k goya boltey na hon..
meiN khaali warq pe nazrein jamaaey
qarb ki gehri andheri khamoshi ko..
apnay ander yun chupaati hooN..
k jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai
jo ussay pyar kertay hain!
magar is aik koshish say, na dil ka dard jata hai
na koi hal nikalta hey
bus ik wehshat ka saaya hai
jo har suu phail jata hai

Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi


Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi…
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
Jo taqub me thi ek dusre ke..
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..

Mujhko ye fikr ke bijli ka current

chu gaya nangi kisi taar se toh..
aag ke lag jane ka bhayas hoga.

Usne kaagaz ki kai kashtiyaan paani me utaari.

Aur ye keh ke baha di ke..samander me milenge…

Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…

Kud ke utrega kohsahr se jab..
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..

Ouk me bharke wo barsaat ka paani…

adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
Wo bohut choti thi, kamsin thi,
woh masoom bohut thi..
Aabisharon ke tarannum pe
kadam rakhti thi…
aur goonjti thi..

Aur main umr ke ifkaar me ghoom…

tajurbe-humraah liye…,
saath hi saath mein
behta hua…chalta hua… behta gaya

Chalo Phr Dhoond Lein Hum


Chalo Phr Dhoond Lein Hum!

Usi Masoom Bachpan Ko!


Unhi Masoom Khushiyon Ko!


Unhi Rangeen Lamhon Ko!


Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!


…Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!


Jahan Bus Muskurahat Thi!


Baharein Hi Baharein Thi!


Chalo Phr Dhond Laein Hum!


Usi Masoom Bachpan Ko!


K Jab Sawan Barasta Tha!


To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!


Bana’na Aur Duba Dena!


Boht Acha Sa Lgta Tha!


Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!


Boht Sacha Sa Lagta Tha!

Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain


Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain.
Meyar elehda hein, par insan to sub hain.

Asaib zada hai tere honto ki halawat.

Afsurda-e-khatir tere lehje ke sbab hain.

Dolat k trazu main bhi Imaan likha hay.

Hum sahib-e-kirdar hain, Parwarda-e-Rub hain.

Deroz k chehre ki ibadat bhi zara padh.

Maimaar hain ainda ke, Qatil tere kab hain.

Hum dono Mohabbat k siwa janty thay kya.

Esy to na thay Dost! k jis hal main ab hain.

Wo husan ka paikar hay, k Asaab ka Qatil.

Aankhian kisi Aahu ki hain, Yaqoot say lub hain.

Jismoo k Zakhyare ka sumandar hai,magar hum.

Ik Chashm-e-Sitam pesha se Ikhlas Talab hain

Tumhein jo besabab mujh se khafa hone ki aadat hai


Tumhein jo besabab mujh se khafa hone ki aadat hai,

Ye aagaz-e-judai hai k andaz-e-mohabbat hai,


Wafa k rung mai dekho jafa achhi nahi hoti,


Kisi se pyar ma itni ana achi nahi hoti,

Faqat kehnae ki batein hain,

nibhata kon hai kisko?

Chalo ab daikh letein hain,

Manata kon hai kis ko

Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey


Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!
milna parrey ga aakhir ik din zaroor hum sey

daaman bachaaney waaley ye be’rukhi hey kesi!

keh do agar huwa hey koi qasoor hum sey

hum chorr dein ge tum sey yun baat cheet karna

tum poochtey phiro ge apna qasoor hum sey

hum cheen lein ge tum sey ye shaan-e-be’niyazi

tum maantey phiro ge apna garoor hum sey

Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say


Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say
Meray dil ko mili roshni kisi bakhabar kay jawab say

meray hamdam mujhay roak na,safar say iss rah kay

mujhay seekhna hay bohat kuch,abhi zindagi ki kitab say

main bhalla kiyoon hairaan hoon us husn ki ada dekh kar

kay mehaknay ka hay raaz kiya,pocha kisi nay gulab say

lauta phir thak har kay,aakhir usi kay dar pay main

bas waheen mujhay panah mili,khahishoon kay sarab say

tu khuli jab woh haqeeqatain,meri rooh yeh pukaar uthi

kathin na ho koi lamha bhi shaid aagahi kay azab say

kash ko bhi milay kabhi wohi aarzoo,woh justujoo

kay jo motyoon ko dhoond lay,kahin door tah-e-aab say


amar ker lo wo sab lamhey

amar ker lo wo sab lamhey
jo ham ne yooN guzaRey haiN
seheR keR lo wo sab rateiN
jahaN apni hi dunya thi
jahaN sanseiN bhi apni theeN
jahaN sapney bhi apney thay

safeR keR lo wo sab rastey

jahaN kuch bhi wafa’eiN haiN
jahaN khushboo hai pyaroN ki
jahan yadeiN haiN yarooN ki

fikeR keR lo zaRa ek pal

ke tum ne kis ko kHoya hai
usey tum dhoondh pao ga’ey
kabhi phiR dekh pao gai

taheR ja’oo jahaN ho tum

k us biN tum adhooRey ho
kabhi phiR mil na pa’oo ga’ey
usey dhoondo ga’ey yadooN meiN
usey is pal bula lo tum
k ye lamhey tumhaRey haiN



yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa

yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa
main bhi khasta dil ho teri tarha meri maan meray kareeb a’a

mai samnadroo’n ki hawa nahi kay tujh ko dekhaye na day sakoo’n

koi bhola bisra khyaal ho na gumaa’n meray kareeb a’aa

na chupa kay zakhm-e-wafa hai kya, teri arzoo’n ki khata hai kya

teri chara ghar na ye zindagi na jaha’n meray kareeb a’aa

tujhay asay wasoo’n ki dosti nay bohat khrab-o-khajal kya

kisi jhoot ka ye naqaab rukh pay na taan meray kareeb a’aa

jo nikal sakay to nikal lay koi waqt apnay liye kabhi

meray pass beth kar ro to lay kisi aa’n meray kareeb a’aa

na maaklma ho na guftago faqat itna ho kay na mai na tu

milay sirf apnay jalay huway dil-o-jaan meray qareeb a’aa

mujhey roz-o-shab ki kitab mein

mujhey roz-o-shab ki kitab mein
koi aisa haraf na mil saka
jise misl-e-gul ka khitaab dun
jise chandni ki si taab dun
jise dhoond ker,jise khoj kar
rukh-e-asmaan pe saja bhi dun
mere khoon-e-dil ki nigarishain
meri ruh tak k fishaar bhi
yahan ilm-o-fan ki dukaan per
barre saste damon se bik gaye
mujhe torr kar,mujhe phorr kar
mere doston ne jala dia
rah-e-zindagi k ghubar main
meri rakh tak ko urra dia
mujhe phir b koi gilla nhi
jo mila nhi,so mila nhi

Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray

Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray Wo Khuwab Khai’may Rawaan Dawaan Sey…!!
Basay Howey Hain Abhi Nazar Main,Sabhi Manazar Dho’wan Dho’wan Sey..!!

Yeh Aks-e-Dagh-e-Shikast-e-Pay’maan,Wo Rung-e-Zakhm-e-Khulos-e-Yaraan..!!

Main Ghum Gusaaron Mein Soochta Hoon, K Baat Chai’Roon Kahan Kahan Sey..!!

Ye Sungrai’zay Adawtoon K,Wo Aab’Geenay Sakha’Watoon Key………!!!

Dil-e-Musaafir Qabool kar Ley, Mila Hai Jo Kuch Jahaan Jahaan Sey……!!!!

Bicharnay Wala Bicharr Chala Tha Toa Nisbtain Bhi Ganwa K Jata………!!!

Teray Liye Shehr Bhar Sey Ab Bhi Main Zakhm Kha’on Zubaan Zubaan Sey..!!

Meri Mohabbat K Weh’moon Sey Paray Tha Tera Wajood Warnaa…………!!

Jahan Jahan Tera Aks Thera, Main Ho K Aaya Wahaan Wahaan Sey……!!!

Tu Humsafar Hai Na Hum’naffas Hai,Kisay Khabar Hai K Tu Kidhar Hai……….??

Main Dasta’khen Dey K Pooch Baitha Makeen Makeen Sey Makaan makaan Sey..!!

Abhi MoOhabbat Ka Ism-e-Aazam Laboon Pey Rehnay dey Jaan-e-Mohsin…..!!!

Abhi Hai Chahat Naii Naii Sii, Abhi Hain Jazbay Jawaan Jawaan Sey………!!!!

Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K

Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K
Woh Khud Se Teri Hi Baat Kar K
Main Sham-E-Manzar Ko Dekhta Hon
Dino Ko Apne Kharab Kar K

Hove Juda Tu Baat Kiya Hai

Main Sochta Hon Ye Yaad Kiya Hai
Bhuja Raha Hon Main Piyaas Apni
Ankho Ko Apni Seraab Kar K

Tumhian Tha Jana Tu Maine Samjha

K Dekho Kitna Main Na Samjh Tha
Jo Mil Na Paya Jawab Mujhko
Gaye Ho Tum Woh Sawal Ban K

Tumhain Hi Her Pal Sochne Se

Hoi Hai Mujhko Maharart Hasill
K Teri Yaadain Mili Hain Mujhko
Haseen Sa Ek Inaam Ban K

mere junon ka nateeja zaroor niklay ga

mere junon ka nateeja zaroor niklay ga
issi siyaah samandar se noor niklay ga

gira diya hai tau sahil pe intezar na kar

agar wo doob gaya hai tau door niklay ga

ussi ka shehar wohi mud’dai, wohi munsaf

hamain yaqeen tha hamara qasoor niklay ga

yaqeen na aaye tau ik baar pooch ker dekho

jo hans raha hai wo zakhmon se choor niklay ga

roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad

roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad
jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad

tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab

iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad

kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran

tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad


apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba

hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad

maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho

shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad

wafa hai zaat aurat ki

Wo Aksar MujhSe Kehti Thi…
“WAFA HAI ZAAT AURAT KI
Magar Jo Mard Hote Hain
Bohat Be-Dard Hote Hain
Kisi Bhanwre Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hain
Suno Tum Ko Qasam Meri !
Riwaayat Tor Dena Tum
Na Tanha Chhor Dena Tum
Na Ye Dil Tor Ke Jaana…”
Magar Phir Yun Hua Hamdam !
Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar UsNe
Mera Di…l Tor Kar UsNe Muhabbat Chhor Di UsNe
“WAFA HAI ZAAT AURAT KI”
Riwaayat Tor Di Usne

ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se

ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se
mai hawa se lar raha hon, tujhay kaya bataon kub se

ye sehar ki saazishain theen, ke ye inteqaam-e-shab tha

mujhay zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se

tery naam se shafa ho koi zakhm wo ataa kar

mere naama ber, milay tau usay kehna ye adab se

wo jawan ruton ki shaamain, kahan kho gai hain Sagar

main to bujh ke reh gaya hoon, wo bichar gaya hai jub se

Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar



Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar

Ae Mere Bad-Gumaan, Mera Aetbaar Kar

Woh Khud Tou Titliyoun Ko Liye Ghoomta Raha

Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha, Intezaar Kar

Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey

Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya

Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar

Kab Ho Saki Hai Inn Ki Samandar Se Doosti

Mitti Kay Inn Gharondoun Pe Kam Inhesaar Kar

Fursat Miley Tou Dekh Mere Dil Kay Aainey

Aankhoun Se Apney Kaaghazi Parday Utaar Kar

Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai


Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai
Muhabbat Farzz Banti Ja Rahi Hai....!!

Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain

Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain
K Jaisay Khuwab Marte Ja Rahe Hain

Kuch Din K Liya Dil K Makee'noon Ko

Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain

Jo Dil K Hall Hai Dil Janta Hai

Bazahir To Sambhalte Ja Rahe Hain

Chaly To Hain Tumhare Shair Say Hum

Kaf'fay'Afsos Malte Ja Rahe Hain

Kabi Jin Main Gharor'rey'Tazgi Tha

Wo Khad'do'khal Ab Dhalte Ja Rahe Hain..!!

Muhabbat Say Reyhaa Hona Zarori Hogaya Hai



Muhabbat Say Reyhaa Hona Zarori Hogaya Hai

Mera Tujh Say Judaa Honaa Zarori Hogaya Hai

Wafa K Tajurbay Kartey Hoyee To Umar Guzri

Zara Saa Bewafa Hona Zarori Hogaya Hai

Meri Awaz Tanhayee Main Marti Ja Rahi Hai

Kisi Ka Ham'nawa Hona Zarori Hogaya Hai

Azab'bay'zulma'tey'Shab Hai K Ab Apne Lahoo Par

Koi Hur'fay'duaa Hona Zarori Hogaya Hai

Kahan Taak Hum In Bhujal Fazaoon Main Rahain Gay

Koi Ak Fais'laa Hona Zarori Hogaya Hai

Bhanwar Main Hai Kahee Barsoon Say Apni Kash'teye'jan

Kisi Ka Na'Khuda Hona Zarori Hogaya Hai

Yahan Charoon Taraf Hee Khuf Bharta Ja Raha Hai

Sukhaan Na'Ashnaa Hona Zarori Hogaya Hai

Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee

Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee
Koi Kaisay Muhabbat Ki Khani Say Nikal Ayee

Usay Bas Ak Paal Ko Dekhna Tha Bat Karni Thi

Magar Wo Asskh Sada Jo Rawani Say Nikal Ayee

Yaqeen Tha Umar Lag Jayee'gi Is Hayraani'yee'Gham Main

Magar Hum Sham'may'Weshatt Ki Geerani Say Nikal Ayee

Bohut Majboor Rehtay Thay Bohut Masror Rehtay Thay

Tumhare Sehar'rya'Gham Ki Kejh Beyani Say Nikal Ayee

Kahee To Silseela Tehray Badan Ki Is Musafat Ka

Kabi To Be'ghari Ki Meharbani Say Nikal Ayee

Kahee Tarekh Shab Main Yaad K Jugnoo Camaktay Hain

K Jaisay Seep Koi Gehray Pani Say Nikal Ayee.....!!

Hurffay Sada Nahi Badla Kartey

Hurffay Sada Nahi Badla Kartey
Daikh! Lehja Nahi Badla Kartey

Hum Say Badla Na Gaya Rang'gay'Wafa

Loog Kya Kya Nahi Badla Kartey

Ishiq Waloon K Gali Kochoon Main

Geet Lehja Nahi Badla Kartey

Khud Say Jitne Bhi Pa'shay'man Sahee

Dil Ka Rishta Nahi Badla Kartey

Khuf Kaisa Bhi Ho Tufanoon Ka

Apna Darya Nahi Badla Kartey

Kohi Rott Ho Ya Mere De'daye'dil

Apna Sehraa Nahi Badla Kartey.!

Fiza Main Phir Say Koi Roshni Ka Aks Jaga Hai

Fiza Main Phir Say Koi Roshni Ka Aks Jaga Hai
Mera Hum'Raqs Jaga Hai

Jo Mere Dil K Rukh'saroon Ko Chu K

Khusboon K Geet Gaa'ta Hai
To Yoon Mehsos Hota Hai

K Jaisay Jugnuooon Ne Titliyoon Say Pe'rah'han Badlay

K Jaisay Fakh'taoon Ne Udasi K Cha'lun Badlay

K Phir Far'te'Junoon Main Zindagi Ki Sans Thaam Jayee

Muhabbaat Ki Hawee'Lee Say
Azab'Bay'Sham'May'Gham Jayee.....!!

Wo Aansu Humare Akhri Aansu Thay


Wo Aansu Humare
Akhri Aansu Thay
Jo Humne Gale Milkar
Bahaye TheNa Jane Waqt Un Aansuon
Se Kis Taur Pesh Aya
Magar Meri Fareb-E-Waqt ki Behki HuiAankhon Ne
Uske Baad Bhi Aansu Bahaye Hai
Mere Dil Ne Bahut Se Dukh Rachaaye Hai
Magar Yun Hai KeMah-O-Saal Ki Is Rayeigaani Mein
Meri Aankhein
Gale Milte Hue Rishton Ki Furqat Ke Wo Aansu
Shayad
Phir Na Ro Paayein!!!!

Uljhan

Uljhan...!


Mujhai Khuof hai

Wo Nibha K Kisi Marhalay Pe


Ya Aa K Keh Day K

K
Ab Nahi

Mere Dil Ko Teri Talab Nahi.
.!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
www.e-referrer.com