Tuesday, February 2, 2010


Kahin Wo Mile To Use Kehna K Lout Aao
Lout Aao K Koi Shidat Se Bari Mudat Se
Bari Mhbt Se Tmhara Intazar Kr Rha Hai,
Lout Aao K Kisi Ki Btain Kisi Ki Rahain Tm Bin Adhori Hain,
Lout Aao K Koi Tm Bin Pl Pl, Hr Pl Hr Aj Or Hr Kal Tanha Hai,
Lout Aao K Tmhare Na Hone Se Kisi Ki Ankhon Me Nami
Or Zindagi Me Kami Bht Ziada Hai,
Kahin Mile To Use Kehna K Lout Aao Bas Lout Aao.


Kab Usko Intazar Mera Tha,
Ye To Bas Aitebar Mera Tha,
Kuch Hum Hi Khush Fehem Thy
Shayd, K Us Par Ikhtiar Mera Tha,
Kabhi Uski Na Halat Waisi Thi
Jaise Dil Beqrar Mera Tha,
Ghamon Me Qaid Kr Gya Mujhko,
Wohi Jo Gham-Gusar Mera Tha,
Main Kaise Bhol Jaon Aisa Shakhs
Jo Kabhi Aik Bar Mera Tha.



Kahan Mumkin Tha Dil Se Teri Yaden Mita Deti,
Bhala Kaise Main Jeti Agar Tujh Ko Bhula Deti,
Teri Ruswai K Dar Se Labon Ko See Liya Warna,
Tere Shehr-E-Munafiq Ki Main Bunyaden Hila Deti,
Kiya Tark-E-Wafa Us Ne To Hogi Uski Majbori,
Jisey Barson Dua Di Thi Usey Kia Bad-Dua Dati,
Khabar Hoti Agar Mujhko Nahi Hai Tou Muqadar Me
Usi Lamhe Main Hathon Ki Lakeron Ko Mita Deti...




Wafa K Qaid Khano Me Sazain Kab Bdlti Hain,
Bdlta Dil Ka Mosam Hai. Hawain Kb Bdlti Hain,
Libada Ohr Kr Gham Na Nikl Jaty Hain.
Sehra Ko Jawab Aya K Na Aye Sadain Kb Bdlti Hain,
Meri Sari Duain Tmse Hi Mansob Hain
Mhbt Ho Agr Sachi Duain Kb Bdlti Hain
Koi Kar Nibhata Hai Koi Kho Kr Nibhata Hai,
Naye Andaz Hoty Hain Wafain Kb Bdlti Hain.




Kal Halki Halki Barish Thi, Kal Sard Hawa Ka Ruqs B Tha,
 Kal Phol B Nikhray Nikhray They,
Kal Un Me Apka Aks B Tha, Kal Badal Kalay Gehray Thay,
Kal Chand Pe Lakhon Pehrey Thay,
Kuch Tukray Apki Yadon Ke Bari Dair Se Dil Me Thehray Thay,
Kal Yadin Uljhi Uljhi Thi Or Kal Tak Ye Na Suljhi Thi,
Kal Yad Bht Tm Aye.... Kal Yad Bht Tm Aye...



Main Wohi Hon Jise Tm Dost Kaha Karte They...
Din Me So Bar Mera Naam Lia Karte They..
Aaj Kya Bat Hai Kyu Mujhse Khafa Baithy Ho...
Kya Kisi Aur Ko Dost Bana Bethay Ho...
Faslay Itne To Pehle Na Howa Karte They..
Main Wohi Hon Jise Tm Dost Kaha Karte They...
Tm Agar Bhol Gaye Ho To Koi Bat Nahi..
Zakham To Pehlay B Is Dil Par Laga Karte They...
Main Wohi Hon Jise Tm Dost Kaha Kartey Thay...,



Koi Harf-E-Tasali Koi Dilasa B Nhi Hai,
Is Bhare Sheher Me Koi Aur Shanasa B Nhi Hai,
Kbhi Lagta Hai Main Uski Rooh Me Hon Shamil
Kbhi Lagta Hai Wo Mera Zara Sa B Nhi Hai,
Tarke Talluq Kar To Lon Lekin Ye Soch K Darti Hn
K Us K Siwa Zindagi Me Koi Asasa B Nhi Hai,
Main Us Se Dour Ho Lon Ye Mumkin Hai
Magar Us K Bina Ji Paon Aisa B Nhi Hai.....




Musafir To Bichertay Hain Rifakat Kab Badlti Hai..
Muhabbat Zinda Rehti Hai Muhabbat Kab Badlti Hai

Kali Ka Phool Ban’na Aur Bikhar Jana Mukaddar Hai..
Yehi Qanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badlti Hai

Jo Dil Me Bas Jaye Aur Aankhon Me Simat Aye
Alamat Hai Ye Chahat Ki Aur Chahat Kab Badlti Hai

Tumhi Ko Chahtay Hain Tumhi Se Muhabbat Kertay Hain.
Yehi Barson Se Adat Hai Aur Adat Kab Badlti Hai




Mujhey Talash Hai Uski Jo Merey Jaisa Ho

Merey Khulus Ko Pehchanta Ho Bus Kafi Hai
Who Koi Bhi Ho, Kahin Bhi Ho, Kesa Bhi Ho

Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rkhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Us Sey To

Muskra Key Manayee, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey

Iradon Mein Woh Apney Chatanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho

Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Kitarah Gahrah Ho
Us Key Pyaar Ki Thandak Ho Merey Liye Aisi
Key Woh To Bilkul Aasman Key Chand Jaisa Ho

Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chalney Ka Azam-E-Wafa Rakhta Ho

Jo Khwab Deney Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho



Alfaz K Jhoote Bandan Main
Raz K Gheray Pardon Main
Har Shakhs Mohabat Karta Hai

Halan Ke Mohabat Kuch Bhi Nhin
Sab Jhoote Rishte Nate Hain
Sab Dil Rakhne Ki Batein Hain
Sab Asli Roop Chupate Hain

Ehsas Se Khali Log Yahan
Lafzon K Teer Chalatey Hain
Ik Bar Nazar Main Aa Kar Wo
Phir Sari Umer Rulate Hain

Ye Ishq Mohabat Mehr-O-Wafa
Ye Sab Kehne Ki Batain Hain

Har Shahks Khudi Ki Musti Main
Bus Apni Khatir Jeeta Hai…




Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte,
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte,
Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna,
Daman Phir Uss Se Churaya Nahi Karte,

Us Ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil,
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aaya Nahi Karte,
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene Mein,
Doosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte,

Do Qadam Saath Chal Kar Jo Judda Ho Jayen,
Aise Logon Ko Toh Humsafar Banaya Nahi Karte,
Kiss Tarha Guzarti Hogi Zindagi Unn Ki,
Pehli Mohabbat Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte




Muhbat Hum Say Karni Ho To Phir Wada Nahi Karna,
Ye Waday Hum Nay Dekhay Hain K Aksar Tot Jatay Hain

Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Zid Bhi Nahi Karna,
Ye Zid Bhi Hum Nay Dekhi Hai K Sathi Chhot Jatay Hain

Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Tohfa Nahi Daina,
Ye Tohfay Hum Nay Dekhay Hain Buht Majbor Kartay Hain

Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Shikwa Nahi Karna,
Ye Shikway Hum Nay Dekhe Hain Dilon Ko Dor Karte Hain

Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Roya Na Karna,
Ye Aanson Hum Nay Dekhay Hain Dilon Ko Cheer Detay Hain




Mein Kuch B Nahin Hoon Tere Liye
Kuch Tere Liye Mein Ho Jaon

Tere Dil Men Rahoon Ankhon Mein Basoon
Dharkan Men Shamil Ho Jaon

To Jab Koi Baat Kare
Mera Naam B Us Meia Shamil Ho

To Jab B Mange Kuch Rab Se
Meri Zaat B Us Men Shamil Ho

Har Bar Nahin Ik Baar Sahi
Ik Bar To Aisa Ho Jae

Ik Pal K Liya Ae Jan-E-Wafa
Tujhe Mujh Se Mohabbat Ho Jae

AY KAASH K AISA HO JAE
AY KAASH K AISA HO JAE


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
www.e-referrer.com