Sunday, March 18, 2012

Aksar Tanhaai



"Aksar Tanhai Main"

teri yadoon k samander main,
main doob jati hoon,
tujhe yaad kr k hi,
ab to dil ko behlati hoon,
aksar tanhai main....

jab bhi teri yad aati hay,
khawaboon ki dunia main kho jati hoon,
tera nam le k hi,
laboon ko thandak pouhanchati hoon,
aksar tanhai main....
tum meri zindagi ho,
jise dil-o-jaan say chahti hoon,
tumhara chehra dekh ker hi,
main ab muskurati hoon,
aksar tanhai main....

kuch din hain judai k,
per inhain mahenay,
saal kehlati hoon,
ab jaldi milan ho ga,
ye soch ker hi jee pati hoon,
aksar tanhai main...
 

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.



Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?

main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..



Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?

main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.



Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?

main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.



Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?

main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.



Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?

main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.



Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?

main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila hai
 

Teri Jabeen Pe Likha Tha Kay Tu Bhulaa Degaa,
So Main Bhi Bhaanp Giya Tha K Tu Bhulaa Degaa,

Har Ek Shaks Se Main Larta Raha Tere Liye
Har Ek Ne Mujh Se Kaha Tha Kay Tu Bhulaa Degaa,
...
Yeh teri Aankhon Pe Halqe Se Par Gaye Kaise ?
Mujhe To Tune Kaha Tha Kay Tu Bhulaa Degaa,

Nikaal Laaya Hai Pher Elzaam Puraane Tu
Yeh Hum Ne Tay Bhi Kiya Tha K Tu Bhulaa Degaa,

Kuch Is Liye Bhi Ek Till Tha Teri Aankhun Mein
Tujhe To Tab Bhi Pata Tha Kay Tu Bhulaa Degaa.



Tu Wafa kar ,, Wafa ka Sila Jane ,, Khuda Jane !!!
Tum Diya Jalate Rehna ,, Hawa Jane ,, Khuda Jane !!!

Khizaan Ka Khoof Mali ko Buzdil nai kar Sakta !!!
Chaman Abaad Rakh ,, Baad-e-Saba jane ,, Khuda jane !!!

Mareez-e-Ishq ,, Dawa-e-Dil Samjha Dilbar ko !!!
Marz Jane ,, Dawa Jane ,, Shifa Jane ,, Khuda Jane !!



Tootey dil ki kahani mat poocho
Kon tha raja kon thi raani mat poocho

Tanha tanha, chupke chupke rote hain
Pathar se kab phoota paani mat poocho

Jab tak chaho tum bhi dera daale raho
Naam pata aur koi nishani mat poocho

Lehje ki taseer ka yaaro kya kehna
Lafzon ki badmast rawaani mat poocho

Sara kaleja katt jaye ga yaar Mohsin
Ehad e junoon ki baat purani mat poocho



Wo kiss adaa se mere saamne se guzre abhi
Kiss tarha maine sambhale mere jazbaat na pooch

Waqt jo badle toh insaan badal jaate hai
Kya nahi dikhlaate yeh gardish-e-halaat na pooch

Woh kisi ka ho bhi gayi aur mujhe khabar na hui
Kiss tarha usne chudaya hai mujhse haath na pooch

Iss tarha pal mein mujhe begana kar diya usne
Kiss tarha apno se khayi hai maine maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch



Jis ko Tum Chaaho Woh Mohabbat
Jo tumhein Chaahe Us Ka Kya ..???

Jis ke Liye Tum Roye Woh Mohabbat
Jo tumare Liye Roye Uska Kya ..???

Jis ke Liye Tum Tarpe Woh Mohabbat
Jo tumhare Liye Tarpa Uska Kya ..???

Jis ko Tum ne Chaaha Woh Tumko Miley
Aur Jis Ko Tum Na Mile Uska Kya ..???



Dil Ko Qabar Bana kar Jate To Achha Tha
Armaanon Ko Isme Dafna kar Jate To Achha Tha


Judai Ki Saza Badi Takleef Deti Hai
Mujhe Deewaron Me Chunwa kar Jate To Achha Tha


Tumhare Baad In Hasraton Ka Kya Hoga
Inhe Kafan Panhakar Jate To Achha Tha


Youn Rota Chhod kar Na Jate Mujhko
Mere Dil Ko Behla kar Jate To Achha Tha


Teri Khatir Chhod Sakte The Zamane Ko
Ek Baar Hame Aazma kar Jate To Achha Tha


Youn Dosti Par Daag Laga kar Na Jate
Rasme-Dosti Nibha kar Jate To Achha Tha


Meri Maiyyat Par Shirqat To Na Kar Sake Lekin
Qabr Ko Phoolon Se Saja kar Jate To Achha Tha


Hamari Aankho Se Nind Chura kar Chale Gaye
Mithi Nind Sula kar Jate To Achha Tha


Sagar Ko Andheron Me Youn Chhod Gaye
Dep Koi Jala kar Jate To Achha Tha



Kabhi Pehli Bar School Jane Mein Dar Lgta Tha,
Aaj Har Rasta Khudi Hi Chunte Hain...


Kabi Maa Ki Hr Baat Sachi Lgti Thi,
Aaj Unhi Se Jhooth Bolte Hain..


Kabi Choti Si Chot Kitna Rulati Thi,
Aaj DIL TOOT JATA HA PHIR BHI SAMBHAL Jate
Hain..


Pehle Dost Bus Sath Khelne Tak Yad Rehte The,
Aaj Kuch Dost Jaan Se Zyada Pyare Lgte Hain..


Ek Din Tha Jab Pal Me Larna, Pal Me Manana To
Roz Ka Kam Tha,
Aaj Ek Baar Jo Juda Hue To Rishte Tak Kho Jate Hyn..


Sachi, Zindagi Ne Bahut Kuch Sikha Diya..


Na Jane ZINDAGI Ne Humko Itni Jaldi Bara Kyun Bna Diya.



Hasratein poori karne ka mazaa kuchh aur hai,
Teri baahon me marne ka mazaa kuchh aur hai;

Pee kar to madhosh sab hote hain aksar,
Teri aankhon se peene ka mazaa kuchh aur hai;

Manzil to paa leti yun to akeli main bhi,
Par tere saath chalne ka mazaa kuchh aur hai;

Hanstey to sab hain mehfilon me humdum,
Par rote huye hasne ka mazaa kuchh aur hai... .


Kia Pochtay Ho Tere Hijar Me Kia Sochtey Hain
Saja Ke Tum Ko Nighaon Me Sada Sochtey Hain

Tere Wajoud Ko Chho Kar Jo Guzri Hai Kabhi
Hum Us Hawa Ko Bhi Jannat Ki Hawa Sochtey Hain

Ye Apney Zarf Ki Had Hai K Faqat Tera Lehaaz
Tere Sitam Ko Muqaddar Ka Likha Sochtey Hain

Mera Is Shehar-E-Adawat Me Basera Hai Jahan
Log Sajdo Me Bhi Logo Ka Bura Sochtey Hain

Kis Qadar Hum Bhi Hain Nadaan Mohabbat Me
Tere Ikhlaas Ko Hum Teri Wafa Sochtey Hain



Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Tou Khuwab Hai Kisi Aankh Ka
Jissy Jaagne Ki Saza Mili
Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai
Wo Azzab
Jisne Mila Diya Hai Gulaab Lamhoun Ko Khaak Main


Ye Jo Chand Hai, Ye Jawaab Hai
Kisi Is Tarha Ke Sawal Ka
Ke Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Mai


Ye Jo Chand hai
Ye To Baab Hai kisi Dard ka
Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka
Kisi Zard Zard Si Fasl Ka


Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Kabhi Ban Pare To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna
Issey Gehri Gehri Si Neend Se
Bhala Kisne a Ke Jaga diya?
Issey Rog Kisne Laga diya?



Aaye thy un ke sath nazare chale gaye
wo shab, wo chandni, wo sitaray chalay gaey

Shayad humhary sath bhi wapis na aa sakain
woh walwaly jo sath tumhary chalay gaey

Kashti tarap kay halqa-e-toofan main reh gai,
dekho to kitni door kinare chalay gaey,

Har aastan agarcha tera aastan na tha,
har aastan pe tujh ko pukare chalay gaey,

Sham-e-wisal khana-e-ghurbat se rooth kar,
tum kya gaye, naseeb hamary chalay gaey
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
www.e-referrer.com